Wednesday, February 3, 2010

*~*LAST CALL*~*

Kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye phone per

Main bohat masroof hoon mujh ko bohat se kaam hein

Is liye tum aao milne, main to aa sakti nahi

Har rawayet tor ker is baar main ne keh diya

Tm jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoon

Tum jo ho mash`hoor to main bhi bohat ma`roof hoon

Tum agar ghamgeen ho main bhi bohat ranjoor hon

Tum thakan se choor to main bhi thakan se choor hon

Jan-e-man hai waqt mera bhi bohat hi qeemti

Kuch purane doston ne milne ana hai abhi

Main bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain

Warna kehne ko to sb lamhe tumhare naam hain

Meri ankhein bhi bohat bojhal hein sona hai mujhe

Rat-jagoon ke baad ab neendon main khona hai mujhe

Main lahoo apni anaon ka baha sakta nahi

Tum nahi aateen to milne main bhi aa sakta nahi

Uss ko ye keh ker WASI main ne receiever rakh diya

Aur phir apni ana ke pawon pe sar rakh diya

2 comments:

Anonymous said...

some of ur pics reminded me the last trip to "neelam velley"....
Allah Bless U

MIAN MUHAMMAD RIZWAN HANIF said...

What a nice piece of poetry. Niazi you are great.